Tuesday, November 15, 2005

Yeh Duniya
- Sahir Ludhianvi

Yeh mehlon, ye takhton, ye taajon ki duniya
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya
Yeh daulat ke bhookhe rivaazon ki duniya

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi
Nigaahon mein uljhan, dilon mein udaasi
Yeh duniya hai yaan alam-e-badhavaasi

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Jahaan ek khilauna hai inasaan ki hasti
Ye basti hai murda-paraston ki basti
Jahan aur jeevan se hai maut sasti

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Javani bhatakti hai bezaar bankar
Javaan jism sajtey hain baazaar bankar
Jahaan pyaar hota hai vyapaar bankar

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahin hai
Wafa kuch nahin, dosti kuch nahin hai
Jahaan pyaar ki qadr hii kuch nahin hai

Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

Jalaa do, jalaa do issey, phoonk daalo yeh duniya
Mere saamne se hata lo yeh duniya
Tumhari hai tum hii sambhalo ye duniya

Ye duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye toh kya hai

From Guru Dutt's classic, "Pyaasa", which also happens to be one of my favourite movies.

3 Comments:

Blogger maverick said...

Apply word verification from the seetings tab, or else u'll get such annoying comments ...

1:48 am  
Blogger maverick said...

Nice blog! i've always been a Saahir fan ... "main zindagi ka saath .." and many other songs .... he rocks!

1:49 am  
Blogger silbil said...

where were all of you all these years...meethidhoop, rambler and you?
we don't know each other but i love gussing and understanding and appreciating you through your blogs...
you don't know me and knowing the boring details are not that important but like you i also tremble when i read a sahir poem, my heart also stops when i read neruda poem and i also sigh when i reada gulzar poems...that i guess makes us soul sisters...what else is needed?

3:01 pm  

Post a Comment

<< Home